nadamat hai bana kar is chaman mein aashiyan mujh ko mila hamdam yahan koi na koi ham-zaban mujh ko dikhae ja rawani tausan-e-umr-e-rawan mujh ko hilal-e-barq se rakh ham-rikab-o-ham-inan mujh ko banaya na-tawani ne sulaiman-e-zaman mujh ko uda kar le chale mauj-e-nasim-e-bostan mujh ko dam-e-subh-e-azal se main nawa-sanjon mein hun tere bataya bulbul-e-sidra ne andaz-e-fughan mujh ko meri baaton mein kya malum kab soe wo kab jage sire se is liye kahni padi phir dastan mujh ko baha kar qafila se dur jism-e-zar ko phenka ki mauj-e-sail thi bang-e-dara-e-karwan mujh ko ye dil ki be-qarari khak ho kar bhi na jaegi sunati hai lab-e-sahil se ye reg-e-rawan mujh ko udai khak jis sahra mein tere waste main ne thaka-manda mila in manzilon mein aasman mujh ko tasawwur shama ka jis ko jila de hun wo parwana lag utthi aag dil mein jab nazar aaya dhuan mujh ko wo jis aalam mein ja pahuncha wahan main kis tarah jaun hua dil aap se bahar pinha kar bediyan mujh ko ghubar-e-rah se ai 'nazm' ye aawaz aati hai gai ai umr-e-rafta tu kidhar phenka kahan mujh ko