tere ishaara-e-abru ka ehtiram karen wajud apna sambhaalen ki tera kaam karen jawab de to maza bhi mile sawalon ka wo aaina hai to phir kis tarah kalam karen thakan se aankh jhapakne lagi hai sona hai tujhe junun-e-safar aakhiri salam karen bahut se kaam hain duniya mein aadmi ke liye kisi ke waste kyun zindagi haram karen ibaadaton ke maze khas log hi luten riwaj-e-shirk-e-mohabbat jahan mein aam karen khata ke hote zaman-o-makan ki qaid ghalat nai faza nai duniya ka intizam karen lawen charaghon ki aankhon mein gum huin shayad kahin se raushni laen to fikr-e-sham karen jidhar bhi jaiye shorish-zada ilaqa hai kahin bhi ja-e-aman hai jahan qayam karen tamam qatra-e-shabnam hon qumqume jaise nashat rang sawere ka ehtiram karen bujhe charaghon mein kaise ho nur ki tarsil na ho ye fikr to phir intizar-e-sham karen har aadmi ko yahan dawa-e-khudai hai akeli jaan hai kis kis ka ehtiram karen tumhein hai sar ki zarurat hamein shahadat ki tum apna kaam sambhaalo hum apna kaam karen na fan-shanas hai koi na sher-fahm koi kise kalam sunaen kahan kalam karen tumhaara gham bhi hai ai 'ramz' apne gham jaisa mataa-e-mushtarka ye ghazal ke nam karen