nae dhab ka kuchh josh-e-sauda hua hai khuda jaane ab ke mujhe kya hua hai talluq un aankhon se paida hua hai bahut din ka ye khwab dekha hua hai na aalam mein tujh sa na mujh sa jahan mein na aisa hua hai na waisa hua hai na le qais aage mere nam-e-wahshat abhi kal ki hai baat paida hua hai phir uthta hai dud-e-mohabbat jigar se wahi haal agla sa mera hua hai ye ghar-bar hai dida-e-ashk-za se mera daman aaghosh-e-dariya hua hai wo wadi-e-aiman pe mauquf kya hai hamara har ek dasht dekha hua hai zara dam to lene de ai chashm-e-jadu badi muddaton mein dil achchha hua hai kaha main ne tanhai hai baat sun lo kaha hans ke tum ko to sauda hua hai taraqqi pe hai naujawani tumhaari abhi kya hua hai abhi kya hua hai hijab-e-nazar se khule bhed dil ke abas hum se zahir mein parda hua hai hamari tumhaari to hain dil ki baaten na mano agar us ka charcha hua hai na ghabrao jaana aji hum bhi samjhe kahin aur bhi aaj wada hua hai na manenge hum aaj to le chalenge bahut roz imroz farda hua hai agar tum bhi dekho to rone lagoge meri jaan ye haal apna hua hai 'nasim' ab kahan qadr-dan-e-sukhan hain kahe sher ye bhi jo charcha hua hai