sadkon pe bahut khalq-e-khuda dekhte rahna kya chiz hai jine ki saza dekhte rahna bah jaana khamoshi se kahin dard ka pani aur dil ko sada khushk pada dekhte rahna milne ke liye jaana use shauq se lekin is rukh pe uda rang-e-wafa dekhte rahna le jaana use bazm-e-nigaran mein wahan phir kab aae nazar sab se juda dekhte rahna mumkin hai ki mil jae kabhi koi ishaara mausam ki ye be-mehr ada dekhte rahna kamre mein pade rahna ghutan odh ke 'shahin' diwaron pe taswir-e-hawa dekhte rahna