nae paikar nae sanche mein dhalna chahta hun main mizaj-e-zindagi yaksar badalna chahta hun main zamin teri kashish ne rok rakkha hai mujhe warna hudud-e-khak se bahar nikalna chahta hun main numu ka josh thokar marta rahta hai sine mein lahu ka chashma hun kab se ubalna chahta hun main guzarte ja rahe hain qafile tu hi zara ruk ja ghubar-e-rah tere sath chalna chahta hun main main apne barf ke paikar se khud ukta gaya hun ab chamak mujh par mere suraj pighalna chahta hun mein sadaen dasht deta hai mujhe wahshat bulati hai so khak-e-ishq apne sar pe malna chahta hun main idhar se bhi koi guzre ki main jis se kahun 'aslam' charagh-e-rahguzar hun aur jalna chahta hun main