safar mein hi chhupi un ki khushi hai musafir ko masafat bandagi hai nazar sab aa raha hai saf kala andheron mein bhi kitni raushni hai pareshan hun main din mein raushni se to shab mein chandni pichhe padi hai udasi hai to phika rang lekin ye mujh taswir ka ek rang hi hai khata is mein nahin hai aaine ki ye sari gard chehron par jami hai badan mera hai ek viran makan, par makin ban kar ye wahshat rah rahi hai gale lag kar mere sahra jo roya jo baqi tishnagi thi bujh gai hai zamin ke panw bhaari hain falak se ye ukhdi an-mani rahne lagi hai