nigah-o-dil ko jalane ka hausla to karo utha ke parde haqiqat ka samna to karo bisat-e-raqs pe naghmon se khelne walo kisi gharib ki fariyaad bhi suna to karo kisi ke aib tumhein phir nazar na aaenge khud apne aap ko tafsil se padha to karo wo zindagi ke liye ho ki ho ajal ke liye hamare haq mein kabhi tum koi dua to karo dikhai denge hamein hum tumhaare chehre mein nazar ke samne ek bar aaina to karo majaz khud hi haqiqat ka rup dhaalega ye shart hai ki haq-e-bandagi ada to karo hamari aankh mein suraj ko dhundne walo tum apne dil ko ujalon se aashna to karo main kaenat ki har shai ko chhod sakta hun tum apne dard-e-mohabbat se aashna to karo bahut tawil sahi shab tumhaari zulfon ki 'sahar' ko in ke ujalon se aashna to karo