nafas nafas hai tere gham se chur chur ab tak na sham hai na sawera qarib dur ab tak suni-sunai pe mat ja zara qarib to aa saza na de ki mohabbat hai be-qusur ab tak machal rahi hai kahin ju-e-shir ai farhad kalim san to sahi jal raha hai tur ab tak mere khuda main kahan jaun kis tarah dhundun mujhe pukar raha hai koi zarur ab tak na tu mera na teri ham-nashiniyan meri bharam hai jis ko samajhte hain sab ghurur ab tak idhar wafur-e-mohabbat udhar murawwat thi jo kuchh kaha tha bhula de tere huzur ab tak chala gaya hai makin chhod kar makan apna koi nahin hai magar chhan raha hai nur ab tak wo ek hadisa-e-ruh-o-dil ki bit gaya jise na man saka 'shaz' ka shuur ab tak