zindagi mail-e-fariyaad-o-fughan aaj bhi hai kal bhi tha sine pe ek sang-e-giran aaj bhi hai dil-e-afsurda ko pahlu mein liye baithe hain bazm mein majma-e-khasta-jigaran aaj bhi hai talkhi-e-koh-kani kal bhi mera hissa tha jam-e-shirin ba-nasib-e-digaran aaj bhi hai zakhm-e-dil ke nahin aasar ba-zahir lekin chaara-gar se gila-e-dard-e-nihan aaj bhi hai aaj bhi garm hai bazar jafa-karon ka kal bhi aarasta thi un ki dukan aaj bhi hai gosha-e-amn nahin aaj bhi bulbul ko nasib chashm-e-sayyaad bahar-su nigaran aaj bhi hai aaj bhi zakhm-e-rag-e-gul se tapakta hai lahu khun mein dubi hui kanton ki zaban aaj bhi hai zindagi chaunk ke bedar hui hai lekin chashm-o-dil par asar-e-khwab-e-giran aaj bhi hai is taraf jins-e-wafa ki wahi arzani hai us taraf ek nigah-e-lutf-e-giran aaj bhi hai haif kyun qismat-e-shaer pe na aae 'ajiz' kal bhi kam-bakht raha marsiyan-khwan aaj bhi hai