nind tuti to samundar na jazira dekha raat bhi main ne wahi khwab-e-shikasta dekha sab pareshan hain lamhon ki giranbari se main ne har shakhs ke mathe pe pasina dekha us ne sahmi hui aankhon pe hatheli rakh li jab khas-e-jism se uthta hua shoala dekha goshe goshe mein kisi khauf ki parchhain thi ghar ki har chiz pe aaseb ka saya dekha sab ki peshani pe haalat ki tariki thi sab ke honton pe kade waqt ka nauha dekha koi tahzib bhi saista-e-malbus nahin jis ko bhi dekha sar-e-rah barahna dekha hans ke milne se tasanno ki chamak chhup na saki hae wo chehra jo main ne pas-e-chehra dekha