nazar mein sulh bhi sar par lahu bhi dekhta hai mujhe to rashk se mera adu bhi dekhta hai main shorishon mein bhi dil ko qarib rakhta hun yahi to hai jo pas-e-haw-hu bhi dekhta hai charagh unhin ki wisatat se jal raha hai magar kabhi hawaon ko ye tund-khu bhi dekhta hai mujhe ye moti samundar yun hi nahin deta wo mere hausle bhi justuju bhi dekhta hai ye dil asir tere naqsh-e-pa ka hai lekin jo chuk jae to phir chaar-su bhi dekhta hai mere junun ko donon aziz hain jaanan ye dasht-o-dar hi nahin aabju bhi dekhta hai hazar barg-o-samar jama ho gae 'arshad' magar ye dil ki maal-e-numu bhi dekhta hai