naghma-e-ishq sunata hun main is shan ke sath raqs karta hai zamana mere wijdan ke sath hai mera zauq-e-junun kufr-o-khirad ki zad mein ai khuda ab to utha le mujhe iman ke sath dil bana dost to kya kya na sitam us ne kiye hum bhi nadan the nibhate rahe nadan ke sath dagh mathe pe chale shaikh-o-barahman le kar aae the dair-o-haram tak bade arman ke sath gham-e-jaanan gham-e-hasti gham-e-haalat 'shakil' kya kahun kitni balaen hain meri jaan ke sath