sawad-e-shahr se aghmaz karna chahta hun ki main apna safar aaghaz karna chahta hun khajil hunga mata-e-ishq par shayad kisi din abhi is faisle par naz karna chahta hun rag-e-jaan se bhi jo nazdik aata ja raha hai main kya sach-much use hamraaz karna chahta hun ulatna chahta hun aaj mazi ke waraq main ki farda ka daricha baz karna chahta hun kisi ke samne rakkhe hue ek aaine ko main apni ruh ka ghammaz karna chahta hun parindon ko zara si der chup rahne ka kah kar hawa ko zamzama-pardaz karna chahta hun manana chahta hun ruthne walon ko 'sajid' magar ek shakhs ko naraaz karna chahta hun