zahr in ke hain mere dekhe hue bhaale hue ye to sab apne hain zer-e-astin pale hue un ke bhi mausam hain un ke bhi nikal aaenge dank be-zarar se ab jo baithe hain sipar dale hue chaak si kar jo hare mausam mein ithlate phire khushk-sali mein wo tere chahne wale hue badh ke jo manzar dikhate the kabhi sailab ka ghat ke wo dariya zamin par rengte nale hue kaise kaise na-gahani hadse likkhe gae yaad ke pahle waraq kis kis tarah kale hue kuchh udasi ban ke phaile us ke rukhsaron ke gird kuchh siyah baadal ke tukde chand ke haale hue pahle ro lete the ab galiyon ke pheron ka hai shaghl pahle jo aansu the ab wo panw ke chhaale hue chhalki har mauj-e-badan se husn ki dariya-dili bul-hawas kam-zarf do chullu mein matwale hue khul gae to bu-e-mani har taraf udti phiri band ho kar lafz 'baqar' nutq par tale hue