qismat mein hain barbaadiyan yaad-e-watan se kya gharaz main phul hun tuta hua mujh ko chaman se kya gharaz tu ne phiraya dar-ba-dar taqdir se kya wasta tu ne milaya khak mein charkh-e-kuhan se kya gharaz ghunche kahin khil kar hansen hans kar tape ki kuchh kahen mauj-e-tabassum ko bhala tere dahan se kya gharaz kya qatl se dil shad hai kahna kisi ka yaad hai mere shahid-e-naz ko qaid-e-kafan se kya gharaz sad-chaak daman ho to ho tukde gareban ho to ho hum aur hi aalam mein hain ab tan-badan se kya gharaz 'nazish' na chhodo shaghl-e-mai taqwa ka dawa hai riya tum saf-baatin rind ho is makr-o-fan se kya gharaz