nazar chura gae izhaar-e-muddaa se mere tamam lafz jo lagte the aashna se mere rafiqo rah ke kham subh kuchh hain sham kuchh aur milegi tum ko na manzil nuqush-e-pa se mere lagi hai chashm-e-zamana agarche wo daman bahut hai dur abhi dast-e-na-rasa se mere yahin kahin wo haqiqat na kyun talash karun jise gurez hai auham-e-ma-wara se mere kisi pe minnat-e-beja nahin ki sach ye hai sanwar gae dil o jaan shewa-e-wafa se mere giran hain kan pe un ke wahi sukhan jo abhi ada hue bhi nahin nutq-e-be-nawa se mere khula chaman na hawa mein phir ai naqib-e-bahaar abhi to zakhm hare hain teri dua se mere nashat o rang ke khugar mujhe muaf rakhen chhalak pade jo lahu saz-e-khush-nawa se mere