rah-e-ulfat mein jab tark-e-tawassut ka maqam aaya

rah-e-ulfat mein jab tark-e-tawassut ka maqam aaya
na duniya mere kaam aai na main duniya ke kaam aaya

asiri ki faza kis darja hasrat-khez hoti hai
nasheman ka tasawwur bhi jo aaya na-tamam aaya

hamari zat se hai kitni dilchaspi zamane ko
hamesha zer-e-ghaur aaya to bas apna hi nam aaya

wafa ki rah mein aasaniyon ka zikr hi kya hai
yahan jo bhi maqam aaya bada mushkil maqam aaya

nasha kaisa nahin ehsas tak kuchh talkhi-e-mai ka
kahen kis se ki kya guzri jahan gardish mein jam aaya

visal-e-dost ki manzil nahin malum kab aae
maqam-e-hosh se guzre to hairat ka maqam aaya

zamane par ayan hone ko tha raaz-e-alam mera
tera anjaan ho jaana bhi kis mauqe pe kaam aaya

na jaane waqt ki tabdiliyan kya kya dikhati hain
chaman walon ke hathon ab chaman ka intizam aaya

wufur-e-shauq mein insan khud ko bhul jata hai
tum aae samne to jab samajh mein ye maqam aaya

usul-e-mai-kada aise bana rakkhe hain saqi ne
jo nikla be-khabar nikla jo aaya tishna-kaam aaya

shikayat ki bhi gunjaish kahan hai 'shauq' phulon ko
khizan-e-zindagi ban kar bahaaron ka payam aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close