roz akhbar mein chhap jaane se milta kya hai apni tashhir ke afsane mein rakkha kya hai tum ne jis ko gham-e-ayyam kaha hai yaro wo mere dard ka hissa hai tumhaara kya hai jhun-jhune de ke mere hath mein koi mujh ko qaid-e-hasti ki saza de ye tamasha kya hai kal talak jo meri tarif kiya karta tha aaj wo bhi mera dushman hai ye qissa kya hai hum agar dub bhi jaen to ubhar sakte hain hum ko malum hai jine ka saliqa kya hai hum ne saughat samajh kar to use apnaya ab ye kyun sochen ki is gham ka mudawa kya hai yun to sab log tumhein jaante honge 'anjum' aur koi bhi na jaane to bigadta kya hai