nagri nagri phira musafir ghar ka rasta bhul gaya kya hai tera kya hai mera apna paraya bhul gaya kya bhula kaise bhula kyun puchhte ho bas yun samjho karan dosh nahin hai koi bhula bhaala bhul gaya kaise din the kaisi raaten kaisi baaten ghaten thin man baalak hai pahle pyar ka sundar sapna bhul gaya andhiyare se ek kiran ne jhank ke dekha sharmai dhundli chhab to yaad rahi kaisa tha chehra bhul gaya yaad ke pher mein aa kar dil par aisi kari chot lagi dukh mein sukh hai sukh mein dukh hai bhed ye nyara bhul gaya ek nazar ki ek hi pal ki baat hai dori sanson ki ek nazar ka nur mita jab ek pal bita bhul gaya sujh-bujh ki baat nahin hai man-mauji hai mastana lahr lahr se ja sar patka sagar gahra bhul gaya
Please share if you liked this!!!