ye masala hai aur koi masala nahin apna harif main hun koi dusra nahin kal mujh pe khul gaya tera husn-e-munafiqat is sanehe ke baad koi saneha nahin muflis nahin hai zehn-e-tahi-dast hun to kya dast-e-talab daraaz kahin bhi kiya nahin har-gam-o-har-nafas rahe darpesh marhale zauq-e-safar gawah ki main bhi ruka nahin ai maslahat-pasand hamara bhi tere sath har-chand rabta hai magar rabta nahin duniya se chand roz mein sab kuchh to mil gaya milna ab aur kya hai jo ab tak mila nahin mumkin nahin ki aaen azaem mein laghzishen uftada waqt hi to hai uftad-pa nahin chhota hun is liye mujhe ehsan hain sab ke yaad mohsin ko bhul jaun main itna bada nahin ahwal waqai to hai khud hi zaban-e-jaan lekin sar-e-ghurur kahin bhi jhuka nahin main tujh ko yaad aaun aur aaun tamam-umr ai dost main bura hun par itna bura nahin jau bone wale bo ke to jau chal diye magar kahte hain ab ke fasl mein gandum uga nahin khwab-e-baqa ki bas yahi tabir hai ki 'lais' duniya mein sirf ek fana ko fana nahin