pasand na-pasand ka koi bhi zabta nahin kabhi bhala bhi hai bura kabhi bura bura nahin to jaise dhup mein chamakta barf-posh kohsar main kali raat ka diya tu mere husn sa nahin wo hansta basta shakhs tha dilon pe sab ke naqsh tha phir ek din kahin gaya kahan gaya pata nahin ye kya hasin bagh hai yahan hain kitni titliyan wo ek kyon nahin yahan nahin yahan maza nahin tamam raat jag kar kati hai us ke waste meri sahar nahin hui wo mehr to dikha nahin ye kya ajib ishq hai jo phone par hi ho gaya qarabaton ka shauq hi dilon mein ab raha nahin ye bazm-e-shab saja rahe hain rang rang qumqume magar ye kaisi bazm hai ki ek bhi dil jala nahin suna hai mere bare mein chhapi hain aaj surkhiyan ye raegan chhapi hain un labon ne gar padha nahin