nahin aasan ai beTa koi insan kaamil ho

nahin aasan ai beta koi insan kaamil ho
padha likkha bahut kuchh phir bhi tum jahil ke jahil ho

koi aisa bhi joru ki taraf se nauj ghafil ho
ye kaise tum padhe likkhe ho beta kaise aaqil ho

bua mitti hai ghar mein sone chandi ki agar sil ho
maza to zindagi ka jab hai kuchh daulat ho kuchh dil ho

bhala chawal bhi aisi koi neamat thi na deti main
meri bhitti mein kaam aae bua ghar mein jo ek til ho

wahi hai dushman ai baji jo achchhe waqt mein lipte
wahi hai dost ai baji musibat mein jo shamil ho

nikal to aai ho bahar mahal se chhup chhupa kar tum
kisi ki aankh pad jae to begam kaisi mushkil ho

niwale ke liye kutta bhi ghar ghar ghum phir aaya
pade ho haddiyan dale aji tum kaise kahil ho

mere hisse mein kaise saut ki taqdir aa jae
tumhaare kaam ki wo hai miyan tum us ke qabil ho

isi ka nam duniya hai koi ujde base koi
kahin mahlon mein matam ho kahin ghure pe mahfil ho

falak par kis tarah sidhi laga kar koi chadh jae
jahan dekho farishte ki tarah tum sar pe nazil ho

na dale bojh beti ka khuda duniya mein dushman par
pahad ek sar pe rakkha ho bua chhati pe ek sil ho

kiye ki laj mujh ko hai kiye ki sharm tum ko hai
isi ki main bhi qail hun isi ke tum bhi qail ho

ubhaaren aurten tum ko dabaen aurten tum ko
garebanon mein munh dalo muo tum ab to qail ho

budhauti mein jawani ki kahani se phat paden ninden
kadi hai dhup sar par aankh kholo kaise ghafil ho

kahani tum ne gehun ki jo dastarkhwan par chhedi
sabhon ko ho gaya dhoka ki tum bhi koi kaamil ho

tumhaari rekhti mein sahl ho jata hai sab aakar
koi mazmun ai 'shaida' jo mushkil se bhi mushkil ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close