nahin gulon ki jo kanton ki ab khushi hai mujhe ki raste mein ye daulat padi mili hai mujhe kuchh aisi aag si mahsus ho rahi hai mujhe kahin ki bhadki hui jaise lag gai hai mujhe bahut main soch chuka phir bhi ek soch mein hun ki jaise aur bhi kuchh sochna abhi hai mujhe rah-e-safar mein hai dur ek zau khuda jaane ye shahr se ki bayaban se tak rahi hai mujhe kali ke dil pe gai hai meri nazar jab se bahut aziz kali ki shaguftagi hai mujhe hawas ke daur-e-junun mein mere liye kya hai chalo nasib to ek zakhm-e-agahi hai mujhe