zehn mein kaun se aaseb ka dar bandh liya tum ne puchha bhi nahin rakht-e-safar bandh liya be-makani ki bhi tahzib hua karti hai un parindon ne bhi ek ek shajar bandh liya raste mein kahin gir jae to majburi hai main ne daman-e-darida mein hunar bandh liya apne daman pe nazar kar mere hathon pe na ja main ne pathrao kiya tu ne samar bandh liya ghar khula chhod ke chupke se nikal jaunga sham hi se sar-o-saman-e-sahar bandh liya umr bhar main ne bhi sahil ke qaside likkhe mere bachchon ne bhi ek ret ka ghar bandh liya haar bedard hawaon se na mani 'qaisar' baadban phenk ke qadmon se bhanwar bandh liya