nahin hawa mein ye bu nafa-e-khutan ki si lapat hai ye to kisi zulf-e-pur-shikan ki si main hans ke is liye munh chumta hun ghunche ka ki kuchh nishani hai us mein tere dahan ki si khuda ke waste gul ko na mere hath se lo mujhe bu aati hai is mein kisi badan ki si hazar tan ke chalen banke khub-ru lekin kisi mein aan nahin tere bankpan ki si mujhe to us pe nihayat hi rashk aata hai ki jis ke hath ne poshak tere tan ki si kaha jo tum ne ki manka dhala to aaunga hai baat kuchh na kuchh is mein bhi makr-o-fan ki si wagarna sach hai to ai jaan itni muddat mein yahi bas ek kahi tum ne mere man ki si wo dekh shaikh ko la-haul padh ke kahta hai ye aae dekhiye dadhi lagae san ki si kahan tu aur kahan us pari ka wasl 'nazir' miyan tu chhod ye baaten diwane-pan ki si