phir hua waqt ki ho baal-kusha mauj-e-sharab

phir hua waqt ki ho baal-kusha mauj-e-sharab
de bat-e-mai ko dil-o-dast-e-shana mauj-e-sharab

puchh mat wajh-e-siyah-masti-e-arbab-e-chaman
saya-e-tak mein hoti hai hawa mauj-e-sharab

jo hua gharqa-e-mai bakht-e-rasa rakhta hai
sar se guzre pe bhi hai baal-e-huma mauj-e-sharab

hai ye barsat wo mausam ki ajab kya hai agar
mauj-e-hasti ko kare faiz-e-hawa mauj-e-sharab

chaar mauj uthti hai tufan-e-tarab se har su
mauj-e-gul mauj-e-shafaq mauj-e-saba mauj-e-sharab

jis qadar ruh-e-nabaati hai jigar tishna-e-naz
de hai taskin ba-dam-e-ab-e-baqa mauj-e-sharab

bas-ki daude hai rag-e-tak mein khun ho ho kar
shahpar-e-rang se hai baal-kusha mauj-e-sharab

mauja-e-gul se charaghan hai guzar-gah-e-khayal
hai tasawwur mein zi-bas jalwa-numa mauj-e-sharab

nashshe ke parde mein hai mahw-e-tamasha-e-dimagh
bas-ki rakhti hai sar-e-nash-o-numa mauj-e-sharab

ek aalam pe hain tufani-e-kaifiyat-e-fasl
mauja-e-sabza-e-nau-khez se ta mauj-e-sharab

sharh-e-hangama-e-hasti hai zahe mausam-e-gul
rah-bar-e-qatra-ba-dariya hai khosha mauj-e-sharab

hosh udte hain mere jalwa-e-gul dekh 'asad'
phir hua waqt ki ho baal-kusha mauj-e-sharab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close