sab sharik-e-sadma-o-azar kuchh yunhi se hain yar kuchh yunhi se hain gham-khwar kuchh yunhi se hain un ke sab afaal sab atwar kuchh yunhi se hain qaul kuchh yunhi se hain iqrar kuchh yunhi se hain apne diwane se mil lije usi mein khair hai aap abhi ruswa sar-e-bazar kuchh yunhi se hain jis jagah dekho nasihat ke liye maujud hain hazrat-e-naseh khudai-khwar kuchh yunhi se hain dast-e-wahshat ne gareban ka safaya kar diya jeb ke parde mein thode tar kuchh yunhi se hain un ke aane ki khabar sun kar uda di hai khabar warna 'muztar' waqai bimar kuchh yunhi se hain