sukut-e-dil ki taraf hain samaaten apni

sukut-e-dil ki taraf hain samaaten apni
hamein pukar rahi hain haqiqaten apni

tere sitam bhi musalsal hain aur phir is par
khud apne dil ko dukhane ki aadaten apni

yahan sab ahl-e-khirad aur main ek ahl-e-junun
badal sakun bhi to kis se tabiaten apni

khuda ko saunp diye kaam to sabhi lekin
main us ke nam na kar paya fursaten apni

wo ek ahd-e-jawani jo raegan guzra
tamam umr dikhaega wahshaten apni

khud ek had mein samete hue wajud apna
talash karta raha hun main wusaten apni

inhi ke sadqe bachi hai amal ki gunjaish
bade hi dhyan se sunna shikayaten apni

ajab nahin wo khuda ban ke phir raha hai agar
sanbhal saki hain bhala kis se shohraten apni

so tai hua hai sar-e-bazm-e-dushmanan ye hi
khud apna qatl karengi rifaqaten apni

agar bura na lage tujh ko ek baat kahun
tu apne pas hi rakh sab nasihaten apni

tujhe 'amar' teri be-chehragi mubarak ho
mita de aur bhi sari sabahaten apni


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close