soz hai dil ke dagh mein ab tak raushni hai charagh mein ab tak zulf-e-mushkin thi mehrban kis ki bu basi hai dimagh mein ab tak tishna-kaamon ko is se kya hasil mai dhari hai ayagh mein ab tak hae aawargi-e-baad-e-saba hai ye kis ke suragh mein ab tak go khizan ka bhi daur-daura hai phul khilte hain bagh mein ab tak roz-o-shab mare mare phirte hain hum talash-e-faragh mein ab tak ye bhi bujh jaegi kabhi 'najmi' raushni hai charagh mein ab tak