nahin tum mante mera kaha ji kabhi to hum bhi samjhenge bhala ji achambha hai mujhe bulbul ki gul bin qafas mein kis tarah tera laga ji tumhaare khat ke aane ki khabar sun miyan sahab nipat mera kudha ji zakat-e-husn de main be-nawa hun yahi hai tum se ab meri sada ji kisi ke ji ke tain leta hai dushman mera to le gaya hai aashna ji thaka main sair kar sare jahan ki mera ab sab taraf se mar gaya ji jalaya aa ke phir 'taban' ko tu ne hamari jaan ab tu bhi sada ji