nahin uDaunga KHak roya nahin karunga

nahin udaunga khak roya nahin karunga
karunga main ishq par tamasha nahin karunga

meri mohabbat bhi khas hai kyunki khas hun main
so aam logon mein zikr is ka nahin karunga

use batao farar ka nam to nahin ishq
jo kah raha hai main kar-e-duniya nahin karunga

kabhi na socha tha guftugu bhi karunga ghanton
aur apni baaton mein zikr tera nahin karunga

iradatan jo kiya hai ab tak ghalat kiya hai
so ab koi kaam bil-irada nahin karunga

tujhe main apna nahin samajhta isi liye to
zamane tujh se main koi shikwa nahin karunga

meri tawajjoh faqat mere kaam par rahegi
main khud ko sabit karunga dawa nahin karunga

agar main haara to man lunga shikast apni
teri tarah se koi bahana nahin karunga

agar kisi maslahat mein pichhe hata hun 'taimur'
to mat samajhna ki ab main hamla nahin karunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close