nai barish ki rim-jhim mein libas-e-gham to badlega wahi rasm-e-chaman hogi magar mausam to badlega wo qahr-e-shah-khawar ho ki zahr-e-baad-e-sarsar ho kisi surat mizaj-e-nazuk-e-shabnam to badlega masihaon ne kuchh taza dawaen la ke rakkhi hain nae zakhm aaenge ab bhi magar marham to badlega kafan resham ke maqtulon ko ab pahnae jaenge azadaron ka tarz-e-girya-o-matam to badlega nai saqi-gari ka jashn-e-fayyazi mubarak ho wahi honge ayagh-o-jam lekin sam to badlega nai nawak-zani hogi magar itna bhi kiya kam hai ki jis aalam mein hum rahte hain wo aalam to badlega