phir kya tha jo parde mein tha ruswa to nahin tha tha raaz-e-mohabbat magar ifsha to nahin tha tum jurm-e-wafa par jo ho aamada-e-tazir ye sirf mere dil ka taqaza to nahin tha kya soch ke aai thi use dekhne khilqat kuchh marka-e-ishq tamasha to nahin tha kyun aa ke mere gham ka sahaara hui ummid imroz ka gham tha gham-e-farda to nahin tha phir kis liye matub zamana tha 'munawar' kahta na ghazal soch ke aisa to nahin tha