raaz mein rakkhenge hum teri qasam ai naseh le nikal ab wahi ganje ki chilam ai naseh ab khuda ke liye rakh hum pe karam ai naseh hain pareshan teri bakwas se hum ai naseh jhurriyan rukh ki jo paigham-e-qaza lai hain kab talak jaoge tum su-e-adam ai naseh baada-noshon ko na samjhane ki koshish karna warna phir hoga tera nak mein dam ai naseh baad muddat ke mila hai to chala-chal mere sath mai-kada yan se hai bas chaar qadam ai naseh puchh le biti hai kya rindon ke hathon in par ye jo hain tere chacha shaikh-e-haram ai naseh kya hua khair to hai kaisi musibat aai kis ne mara tujhe kyun aankh hai nam ai naseh bhul kar bhi kabhi munh un ke na lagna nadan kuchh khabar hai bade bedhab hain niam ai naseh tujh ko bhi ishq-e-butan ka maza kuchh ho malum tere palle hon agar dam-o-diram ai naseh tu hai kya sara jahan khauf se kanp uthta hai 'shauq' uthate hain jo shamshir-e-qalam ai naseh