nai duniya mujassam dilkashi malum hoti hai magar is husn mein dil ki kami malum hoti hai hijabon mein nasim-e-zindagi malum hoti hai kisi daman ki halki tharthari malum hoti hai meri raaton ki khunki hai tere gesu-e-pur-kham mein ye badhti chhanw bhi kitni ghani malum hoti hai wo achchha tha jo beda mauj ke rahm o karam par tha khizar aae to kashti dubti malum hoti hai ye dil ki tishnagi hai ya nazar ki pyas hai saqi har ek botal jo khali hai bhari malum hoti hai dam-e-akhir mudawa-e-dil-e-bimar kya mani mujhe chhodo ki mujh ko nind si malum hoti hai diya khamosh hai lekin kisi ka dil to jalta hai chale aao jahan tak raushni malum hoti hai nasim-e-zindagi ke soz se murjhai jati hai ye hasti phul ki ek pankhudi malum hoti hai jidhar dekha 'nushur' ek aalam-e-digar nazar aaya musibat mein ye duniya ajnabi malum hoti hai