phulon ki hai takhliq ki shoalon se bana hai kandan sa tera jism jo khushbu mein basa hai jangal ke ghazalon pe ajab khauf hai tari tufan koi shahr ki jaanib se utha hai ye husn-e-chaman hai mere ehsas ki takhliq warna kahin gul hai na kahin mauj-e-saba hai har lafz tere chehre ki taswir bana tha kis karb se sau bar tere khat ko padha hai dalo mere kanon mein bhi pighla hua sisa ai barhamno main ne bhi to wed suna hai tum dhundte phirte ho jise sehn-e-chaman mein wo shakhs abhi kucha-e-qatil ko gaya hai