qafile lut gae sar nok-e-sinan tak pahunche jab bahaaron ke talabgar khizan tak pahunche aap ka ishq masafat hai to bas itna ki hum dasht-e-imkan se chale dasht-e-ziyan tak pahunche hum se puchho ki simat aata hai kaise girya lamhe lamhe ka safar bar-e-garan tak pahunche mere hisse mein dilase pe dilase aae khush-nasiban-e-safar teri aman tak pahunche muddaton khak udai gai sahra sahra tab kahin ja ke tere nam-o-nishan tak pahunche barha zabt-e-musalsal ko bikharte dekha lafz-dar-lafz wo jab meri zaban tak pahunche phir nai rah nazar aane lagi hai mujh ko jab mere sare yaqin husn-e-guman tak pahunche