shola-e-shauq ki aaghosh mein kyunkar aaun

shola-e-shauq ki aaghosh mein kyunkar aaun
ek tamanna hun ki mit jaun agar bar aaun

ek dawat hun agar un ke labon par khelun
ek hasrat hun agar khud ko mayassar aaun

har taraf se mujhe kya ghur rahi hain aankhen
khwab hun dida-e-bedar mein kyunkar aaun

ek aalam hun jise bas koi mahsus kare
koi mani hun ki alfaz ke andar aaun

naqsh-bar-ab sahi kuchh bhi sahi hun to sahi
ret ki qaid mein kya khud se bichhad kar aaun

meri pahchan ho shayad inhin zarron ki chamak
apne ghar mein isi zine se utar kar aaun

meri aayat pe iman na lane walo
tab laoge agar jild se bahar aaun

phunk dalin mere shoale ne fazaen sari
isi dhun mein ki nazar apne barabar aaun

le chuka aab-e-baqa tujh se ab ai bahr-e-arab
ud ke jata hun ki ye qarz ada kar aaun

apne daman mein kaho aag sambhaalun kyunkar
hath apne to 'muhib' khair se aksar aaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close