ye itr be-ziyan nahin nasim-e-nau-bahaar ki uda ke lai hai saba shamim zulf-e-yar ki bas itni kaenat hai hayat-e-mustaar ki shabab hai habab ka bahaar hai sharar ki fareb-kariyan na puchh josh-e-intizar ki tamam shab suna kiye sada khiram-e-yar ki ye mukhtasar si dastan hai jabr-o-ikhtiyar ki karishma-saz koi ho khata gunahgar ki haqiqat-e-fareb-e-husn aalam aashkar ki ye ibtida-e-fatah hai junun-e-pukhta-kar ki mujhe to aankh khulte hi qafas ki tiliyan milin meri bala se gar chaman mein fasl hai bahaar ki tere nisar zakhm-e-ishq kuchh wo lazzaten milin balaen le raha hai dil khadang-e-jaan-shikar ki rah-e-talab ki lazzaten hain aur himmat aafrin ye talkhiyan hain talkhiyan sharab-e-khush-gawar ki 'suhail' teri shairi hai ya fusun-e-samari rawaniyan hain nazm mein khiram-e-ju-e-yar ki