samaya jab se hai wo gul-ezar aankhon mein

samaya jab se hai wo gul-ezar aankhon mein
har ek gul nazar aata hai khar aankhon mein

batao kis ka hua jam-e-arzu labrez
ki nashshe ka hai abhi tak khumar aankhon mein

ye kis ke did ki mushtaq hai dam-e-akhir
ki meri ruh ko hai intizar aankhon mein

jo chahte ho asa tek kar uthe bimar
lagao surma-e-dumbaala-dar aankhon mein

wo rashk-e-gul jo nahin hai hamare pahlu mein
ba-rang-e-khar se fasl-e-bahaar aankhon mein

tumhaari did ke saude mein aa gaya sau bar
tadap tadap ke dil-e-be-qarar aankhon mein

isi sabab se to khulti nahin hai aankh meri
phira hi karti hai taswir-e-yar aankhon mein

main dekhta nahin be-wajah sabza-e-nau-khez
kabhi hai sabza-e-khat ki bahaar aankhon mein

misal-e-mardumak-e-chashm hai ye madd-e-nazar
rahen huzur hi lail-o-nahaar aankhon mein

dua ye rahti hai 'wahbi' ki un ke talwe ka
lagaun surme ki surat ghubar aankhon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close