nala-e-dil ki sada diwar mein ya dar mein hai sur ya mahshar mein hoga ya hamare ghar mein hai yun to marne ko marunga main magar mitti meri ya falak ke hath mein ya aap ki thokar mein hai wo agar dekhen to ab haalat sanbhalti hai meri wo agar puchhen to ab mujh ko shifa dam bhar mein hai de de chullu mein ikatthi kar ke ai saqi mujhe kuchh abhi to khum mein hai shishe mein hai saghar mein hai naqd-e-jaan lene ko maqtal mein qaza 'nudrat' meri ban ke dulhan runuma aaina-e-khanjar mein hai