shab-e-gham meri shab-e-gham sar-e-sham laut aana na kahin tera thikana na kahin mera thikana tujhe kya hai is se hasil ki qamar hai teri manzil tere sar pe hai abhi tak wahi aasman purana tujhe husn-o-ishq donon hi ata hue ye kah kar ye chaman hai muskurana ye nadi hai dub jaana koi aaj tak na samjha ki shabab hai to kya hai yahi umr jagne ki yahi nind ka zamana jo zara si aankh kholi to hazar hashr dekhe ye khudi jo so rahi hai ise ab na phir jagana