nama-bar bhi wahan rasa na hua kisi surat mera bhala na hua dard ki dad kaun de mujh ko tu hi jab dard-ashna na hua wahi matlub ho wahi talib ek muamma hua khuda na hua mukhtasar bhi hai aur jame bhi kya hua ka jawab kya na hua han kaho kuchh hamein bhi ho malum wo gila kya jo barmala na hua ishq us dard ka nahin qail jo musibat ki intiha na hua tum se takmil-e-jaur ho na saki is ada ka bhi haq ada na hua itna pas-e-wafa to hai us ko bewafai se be-wafa na hua dil-kusha thi nigah-e-naz us ki tir kyun us ka dil-kusha na hua dil kabhi khush hua to tha lekin is ka ab zikr kya hua na hua qabil-e-shukr hai wo sabr ai 'josh' jo kabhi dast-e-iltija na hua