nam bhi jis ka zaban par tha duaon ki tarah wo mujhe milta raha na-ashnaon ki tarah aa ki tere muntazir hain aaj bhi diwar-o-dar gunjta hai ghar mein sannata sadaon ki tarah wo shajar jalta raha khud kis kadakti dhup mein jis ka saya tha mere sar par ghataon ki tarah jhuk rahe the bagh ke sab phul us ke samne ghas par baitha tha wo farman-rawaon ki tarah main bhala kaise use ek ajnabi kah dun 'nasim' jis ne dekha tha palat kar aashnaon ki tarah