usko hamari zat se inkar bhi nahin

us ko hamari zat se inkar bhi nahin
lekin wo e'tiraf ko tayyar bhi nahin

roghan charagh-e-chashm mein jitna tha jal chuka
aur shahr-e-jaan mein subh ke aasar bhi nahin

be-kar dhundhte ho samaat mein khamiyan
pahli si ghungruon mein wo jhankar bhi nahin

do-chaar pal qayam ka kuchh to jawaz ho
kuche mein us ke saya-e-diwar bhi nahin

tujh ko sukhan-shanas ba-har-haal chahiye
'shadab' tera koi taraf-dar bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close