thaka le aur daur-e-asman tak phir aakhir gardish-e-qismat kahan tak badi us dil ki betabi yahan tak hamin hamin hum hain zamin se aasman tak dam-e-wada unhen hai bar han tak zaban thak jae jo ai be-zaban tak mujhe pina pade aakhir wo aansu jo bhar jate zamin se aasman tak koi sau bar ude sau bar baithe qafas se yun hum aae aashiyan tak gila bhi tha kisi ka raaz koi ki aa kar rah gaya meri zaban tak salamat hain agar mere par-o-baal qafas jaega ud kar aashiyan tak meri bedariyan bekar kyun jaen unhen pahuncha do chashm-e-pasban tak kuchh us ne is tarah kati meri baat ki tukde ho gai meri zaban tak junun se hum na kotahi karenge hamara hath pahunchega jahan tak khudaya mere sajde dur hi se pahunch jaen kisi ke aastan tak sahaara kuchh to darmandon ko hota pahunch jate jo gard-e-karwan tak meri fariyaad sun kar chup rahenge use pahunchaenge wo aasman tak mujhi par chhod do meri mai-e-talkh maza us ka hai kuchh meri zaban tak kalisa-o-haram donon hain aabaad mere naqus tak meri azan tak kuchh aisa rabt hai sayyaad ke sath hamin hum hain qafas se aashiyan tak hamin thukraate jaen jo wahan jaen pahunch jaen yunhi hum aastan tak maasi ke siwa do do farishte inhen lade phirun yarab kahan tak pahunch jaun jo yarab mai-kade mein mera pani bhare pir-e-mughan tak wo khugar nala-e-dushman ka ho jae na sunta ho jo harf-e-dastan tak 'riyaz' aane mein hai un ke abhi der chalo ho aaen marg-e-na-gahan tak