nam jaane ka na lo qalb ke kashane se

nam jaane ka na lo qalb ke kashane se
main to lut jaunga is ghar ke ujad jaane se

ghaiz hai bazm ke andar jo chale aane se
kuchh main bahar bhi nahin aap ke farmane se

saf zahir hai ye qulqul ki sada aane se
guftugu hoti hai kuchh shisha-o-paimane se

shama-ru tak wahi le jaega nama mera
han agar kaam ye niklega to parwane se

sab ye thi khal-e-rukh-e-yar ki karistani
murgh-e-dil phans liya zulf ne is dane se

tark-e-mai ke liye zahid tu mera maghz na kha
aur zid hoti hai insan ko samjhane se

ghair se tum ko ta'alluq nahin kuchh ye sach hai
shak magar badhta hai har bar qasam khane se

ishwa-o-ghamza-o-andaz hi jab khinch na sake
muddaa yar ki taswir ke khinchwane se

khwab-e-marg aankh mein aate hi gai bechaini
ji gaya tegh ke daman ki hawa khane se

kis ke ghar jaane ko tayyar wo hote hain ki aaj
un ko fursat hi nahin aaina-o-shane se

kisht-e-wahshat pe jo wo aab-e-karam barsae
shakhen niklin abhi zanjir ke har dane se

qudrati husn ka khaka kahin ud sakta hai
kyon kashida hain wo taswir ke khinchwane se

'bazm' wan dil ke bahalne ki koi shakl nahin
jaen kabe ko kis ummid pe but-khane se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close