sauda-e-gesu-e-siyah-e-yar ho gaya aazad tha jo dil so giraftar ho gaya majlis mein jis taraf teri tirchhi nazar padi ek tir tha ki tod ke saf par ho gaya sach hai ye hirs karti hai insan ko kharab gham khaya is qadar ki main bimar ho gaya dil ko qarar hai na to jaan ko qarar hai ye ishq hai ilahi ki aazar ho gaya anba-e-jins se jo uthain aziyyaten surat se aadmi ki main bezar ho gaya sair-e-chaman ko yar jo aaya to dekhna aankhon mein andalib ke gul khar ho gaya 'ahqar' gila raha na adawat ka ghair ki jab yar qatl karne pe tayyar ho gaya