pathrili si sham mein tum ne aise yaad kiya jaanam sari raat tumhaari khatir main ne zahr piya jaanam suraj ki manind bana hun reza reza bikhra hun ab jiwan ka sar-chashma hun waise khub jila jaanam tum ne mujh mein jo kuchh khoya us ki qimat tum jaano main ne tum se jo kuchh paya hai wo besh-baha jaanam tum ko bhi pahchan nahin hai shayad meri uljhan ki lekin hum milte rahte to achchha hi rahta jaanam ye sahab jin se mil kar sab ka ji khush ho jata hai raat gae tak un ke kamre mein jalta hai kya jaanam rakh pao to rok lo hum ko gahrai ke basi hain bahte pani ke qatron mein hota hai dariya jaanam dard-e-judai mein likkhe hain sher tumhaare nam bahut tum mere ghar mein rahtin to kya aisa hota jaanam