sarapa dard hai har lafz us ghamgin kahani ka na qissa sun sakoge tum meri sham-e-jawani ka wahi jaan-e-hazin meri jo nikli thi mohabbat mein badal kar bhes aai hai hayat-e-jawedani ka purane ho chuke hain laila-o-majnun ke afsane suno to main sunaun ek naya tukda kahani ka naqab-e-rukh ulat kar aa nikal aa aaj parde se meri nazron ne zimma le liya hai pasbani ka sitam dekho zara kaisi ye ulti rasm-e-duniya hai ki dete hain yahan gulchin ko ohda baghbani ka na jaanen khud-bakhud kyon aankh mein aansu bhar aate hain koi jab nam le deta hai ai 'fazil' jawani ka